Matí 1
1
1Yisúʻ Masíh, ibn i Dáúd, ibn i Ibráhím ká nasabnáma.
2Ibráhím se Izháq paidá húá; aur Izháq se Yaʻqúb paidá húá; aur Yaʻqúb se Yahúdáh aur us ke bháí paidá húe; 3aur Yahúdáh se Fáris aur Zárah Támár ke peṭ se paidá húe; aur Fáris se Hisron paidá húá; aur Hisron se Rám paidá húá; 4aur Rám se ʻAmmínádáb paidá húá; aur ʻAmmínádáb se Nahshon paidá húá; aur Nahshon se Salmon paidá húá; 5aur Salmon se Boʻaz Ráháb ke peṭ se paidá húá; aur Boʻaz se ʻObed Rút ke peṭ se paidá húá; aur ʻObed se Yishai paidá húá; 6aur Yishai se Dáúd bádsháh paidá húá.
Aur Dáúd se Sulaimán us ʻaurat se paidá húá, jo pahle Uriyyáh kí bíwí thí; 7aur Sulaimán se Rahabʻám paidá húá; aur Rahabʻám se Abiyyáh paidá húá; aur Abiyyáh se Ásá paidá húá; 8aur Ásá se Yahosháfát paidá húá; aur Yahosháfát se Yorám paidá húá; aur Yorám se ʻUzziyyáh paidá húá; 9aur ʻUzziyyáh se Yotám paidá húá; aur Yotám se Áház paidá húá; aur Áház se Hizqiyyáh paidá húá; 10aur Hizqiyyáh se Manashshih paidá húá; aur Manashshih se Ámon paidá húá; aur Ámon se Yoshiyyáh paidá húá; 11aur giriftár hokar Bábil jáne ke zamáne meṉ Yoshiyyáh se Yakunyáh aur us ke bháí paidá húe.
12Aur giriftár hokar Bábil jáne ke baʻd Yakunyáh se Shaʼaltiyel paidá húá; aur Shaʼaltiyel se Zarubbábil paidá húá; 13aur Zarubbábil se Abíhúd paidá húá; aur Abíhúd se Ilyáqím paidá húá; aur Ilyáqím se ʻÁzor paidá húá; 14aur ʻÁzor se Sadoq paidá húá; aur Sadoq se Aḳhím paidá húá; aur Aḳhím se Ilíhúd paidá húá; 15aur Ilíhúd se Ilʻázár paidá húá; aur Ilʻázár se Mattán paidá húá; aur Mattán se Yaʻqúb paidá húá; 16aur Yaʻqúb se Yúsuf paidá húá; yih us Maryam ká shauhar thá, jis se Yisúʻ paidá húá jo Masíh kahlátá hai.
17Pas sab pushteṉ Ibráhím se Dáúd tak chaudah pushteṉ húíṉ, aur Dáúd se lekar giriftár hokar Bábil jáne tak chaudah pushteṉ; aur giriftár hokar Bábil jáne se lekar Masíh tak chaudah pushteṉ húíṉ.
18Ab Yisúʻ Masíh kí paidáish is tarah húí, kí jab us kí maṉ Maryam kí maṉgní Yúsuf ke sáth ho gayí, to un ke ikaṭṭhe hone se pahle, wuh Rúhuʼl Quds kí qudrat se hámila páí gayí. 19Pas us ke shauhar Yúsuf ne, jo rástbáz thá, aur use badnám karná nahíṉ cháhtá thá, chupke se us ke chhoṛ dene ká iráda kiyá. 20Wuh in bátoṉ ko soch hí rahá thá, ki Ḳhudáwand ke firishte ne use ḳhwáb meṉ dikháí dekar kahá; Ai Yúsuf ibn i Dáúd, apní bíwí Maryam ko apne háṉ le áne se na dar; kyúṉki jo us ke peṭ meṉ hai, wuh Rúhuʼl Quds kí qudrat se hai. 21Wuh beṭá janegí, aur tú us ká nám Yisúʻ rakhná; kyúṉki wuhí apne logoṉ ko un ke gunáhoṉ se naját degá. 22Yih sab kuchh is liye húá, ki jo Ḳhudáwand ne nabí kí maʻrifat kahá thá, wuh púrá ho, ki
23Dekho, ek kuṉwárí hámila hogí, aur beṭá janegí,
Aur us ká nám ʻImmánúel rakkheṉge;
jis ká tarjuma yih hai; Ḳhudá hamáre sáth. 24Pas Yúsuf ne níṉd se jágkar waisá hí kiyá, jaisá Ḳhudáwand ke firishte ne use hukm diyá thá; aur apní bíwí ko apne háṉ le áyá; 25aur us ko na jáná, jab tak wuh beṭá na janí; aur us ká nám Yisúʻ rakkhá.
Currently Selected:
Matí 1: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)