1
Marqus 15:34
Kitab-i Muqaddas
Phir tīn baje Īsā ūṅchī āwāz se pukār uṭhā, “Elī, Elī, lamā shabaqtanī?” Jis kā matlab hai, “Ai mere Ḳhudā, ai mere Ḳhudā, tū ne mujhe kyoṅ tark kar diyā hai?”
Compare
Explore Marqus 15:34
2
Marqus 15:39
Jab Īsā ke muqābil khaṛe Romī afsar ne dekhā ki wuh kis tarah marā to us ne kahā, “Yih ādmī wāqaī Allāh kā Farzand thā!”
Explore Marqus 15:39
3
Marqus 15:38
Usī waqt Baitul-muqaddas ke Muqaddastarīn Kamre ke sāmne laṭkā huā pardā ūpar se le kar nīche tak do hissoṅ meṅ phaṭ gayā.
Explore Marqus 15:38
4
Marqus 15:37
Lekin Īsā ne baṛe zor se chillā kar dam chhoṛ diyā.
Explore Marqus 15:37
5
Marqus 15:33
Dopahar bārah baje pūrā mulk andhere meṅ ḍūb gayā. Yih tārīkī tīn ghanṭoṅ tak rahī.
Explore Marqus 15:33
6
Marqus 15:15
Chunāṅche Pīlātus ne hujūm ko mutma'in karne kī ḳhātir Bar-abbā ko āzād kar diyā. Us ne Īsā ko koṛe lagāne ko kahā, phir use maslūb karne ke lie faujiyoṅ ke hawāle kar diyā.
Explore Marqus 15:15
Home
Bible
Plans
Videos