Is lie maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, apnī zindagī kī zarūriyāt pūrī karne ke lie pareshān na raho ki hāy, maiṅ kyā khāūṅ aur kyā piyūṅ. Aur jism ke lie fikrmand na raho ki hāy, maiṅ kyā pahnūṅ. Kyā zindagī khāne-pīne se aham nahīṅ hai? Aur kyā jism poshāk se zyādā ahmiyat nahīṅ rakhtā?