1
Mattī 4:4
Kitab-i Muqaddas
Lekin Īsā ne inkār karke kahā, “Hargiz nahīṅ, kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai ki insān kī zindagī sirf roṭī par munhasir nahīṅ hotī balki har us bāt par jo Rab ke muṅh se nikaltī hai.”
Compare
Explore Mattī 4:4
2
Mattī 4:10
Lekin Īsā ne tīsrī bār inkār kiyā aur kahā, “Iblīs, dafā ho jā! Kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ yoṅ likhā hai, ‘Rab apne Ḳhudā ko sijdā kar aur sirf usī kī ibādat kar.’”
Explore Mattī 4:10
3
Mattī 4:7
Lekin Īsā ne jawāb diyā, “Kalām-e-muqaddas yih bhī farmātā hai, ‘Rab apne Ḳhudā ko na āzmānā.’”
Explore Mattī 4:7
4
Mattī 4:1-2
Phir Rūhul-quds Īsā ko registān meṅ le gayā tāki use Iblīs se āzmāyā jāe. Chālīs din aur chālīs rāt rozā rakhne ke bād use āḳhirkār bhūk lagī.
Explore Mattī 4:1-2
5
Mattī 4:19-20
Us ne kahā, “Āo, mere pīchhe ho lo, maiṅ tum ko ādamgīr banāūṅgā.” Yih sunte hī wuh apne jāloṅ ko chhoṛ kar us ke pīchhe ho lie.
Explore Mattī 4:19-20
6
Mattī 4:17
Us waqt se Īsā is paiġhām kī munādī karne lagā, “Taubā karo, kyoṅki āsmān kī bādshāhī qarīb ā gaī hai.”
Explore Mattī 4:17
Home
Bible
Plans
Videos