1
Lūqā 10:19
Kitab-i Muqaddas
Dekho, maiṅ ne tum ko sāṅpoṅ aur bichchhuoṅ par chalne kā iḳhtiyār diyā hai. Tum ko dushman kī pūrī tāqat par iḳhtiyār hāsil hai. Kuchh bhī tum ko nuqsān nahīṅ pahuṅchā sakegā.
Compare
Explore Lūqā 10:19
2
Lūqā 10:41-42
Lekin Ḳhudāwand Īsā ne jawāb meṅ kahā, “Marthā, Marthā, tū bahut-sī fikroṅ aur pareshāniyoṅ meṅ paṛ gaī hai. Lekin ek bāt zarūrī hai. Mariyam ne behtar hissā chun liyā hai aur yih us se chhīnā nahīṅ jāegā.”
Explore Lūqā 10:41-42
3
Lūqā 10:27
Ādmī ne jawāb diyā, “‘Rab apne Ḳhudā se apne pūre dil, apnī pūrī jān, apnī pūrī tāqat aur apne pūre zahan se pyār karnā.’ Aur ‘Apne paṛosī se waisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai.’”
Explore Lūqā 10:27
4
Lūqā 10:2
Us ne un se kahā, “Fasal bahut hai, lekin mazdūr thoṛe. Is lie fasal ke mālik se darḳhāst karo ki wuh fasal kāṭne ke lie mazīd mazdūr bhej de.
Explore Lūqā 10:2
5
Lūqā 10:36-37
Phir Īsā ne pūchhā, “Ab terā kyā ḳhayāl hai, ḍākuoṅ kī zad meṅ āne wāle ādmī kā paṛosī kaun thā? Imām, Lāwī yā Sāmarī?” Ālim ne jawāb diyā, “Wuh jis ne us par rahm kiyā.” Īsā ne kahā, “Bilkul ṭhīk. Ab tū bhī jā kar aisā hī kar.”
Explore Lūqā 10:36-37
6
Lūqā 10:3
Ab rawānā ho jāo, lekin zahan meṅ yih bāt rakho ki tum bheṛ ke bachchoṅ kī mānind ho jinheṅ maiṅ bheṛiyoṅ ke darmiyān bhej rahā hūṅ.
Explore Lūqā 10:3
Home
Bible
Plans
Videos