Duniyā meṅ logoṅ kī tādād baṛhne lagī. Un ke hāṅ beṭiyāṅ paidā huīṅ. Tab āsmānī hastiyoṅ ne dekhā ki banī nau insān kī beṭiyāṅ ḳhūbsūrat haiṅ, aur unhoṅ ne un meṅ se kuchh chun kar un se shādī kī. Phir Rab ne kahā, “Merī rūh hameshā ke lie insān meṅ na rahe kyoṅki wuh fānī maḳhlūq hai. Ab se wuh 120 sāl se zyādā zindā nahīṅ rahegā.” Un dinoṅ meṅ aur bād meṅ bhī duniyā meṅ dewqāmat afrād the jo insānī auratoṅ aur un āsmānī hastiyoṅ kī shādiyoṅ se paidā hue the. Yih dewqāmat afrād qadīm zamāne ke mashhūr sūrmā the.