1
Paidāish 37:5
Kitab-i Muqaddas
Ek rāt Yūsuf ne ḳhāb dekhā. Jab us ne apne bhāiyoṅ ko ḳhāb sunāyā to wuh us se aur bhī nafrat karne lage.
Compare
Explore Paidāish 37:5
2
Paidāish 37:3
Yāqūb Yūsuf ko apne tamām beṭoṅ kī nisbat zyādā pyār kartā thā. Wajah yih thī ki wuh tab paidā huā jab bāp būṛhā thā. Is lie Yāqūb ne us ke lie ek ḳhās rangdār libās banwāyā.
Explore Paidāish 37:3
3
Paidāish 37:4
Jab us ke bhāiyoṅ ne dekhā ki hamārā bāp Yūsuf ko ham se zyādā pyār kartā hai to wuh us se nafrat karne lage aur adab se us se bāt nahīṅ karte the.
Explore Paidāish 37:4
4
Paidāish 37:9
Kuchh der ke bād Yūsuf ne ek aur ḳhāb dekhā. Us ne apne bhāiyoṅ se kahā, “Maiṅ ne ek aur ḳhāb dekhā hai. Us meṅ sūraj, chāṅd aur gyārah sitāre mere sāmne jhuk gae.”
Explore Paidāish 37:9
5
Paidāish 37:11
Natīje meṅ us ke bhāī us se bahut hasad karne lage. Lekin us ke bāp ne dil meṅ yih bāt mahfūz rakhī.
Explore Paidāish 37:11
6
Paidāish 37:6-7
Us ne kahā, “Suno, maiṅ ne ḳhāb dekhā. Ham sab khet meṅ pūle bāndh rahe the ki merā pūlā khaṛā ho gayā. Āp ke pūle mere pūle ke irdgird jamā ho kar us ke sāmne jhuk gae.”
Explore Paidāish 37:6-7
7
Paidāish 37:20
Āo, ham use mār ḍāleṅ aur us kī lāsh kisī gaṛhe meṅ phaiṅk deṅ. Ham kaheṅge ki kisī wahshī jānwar ne use phāṛ khāyā hai. Phir patā chalegā ki us ke ḳhāboṅ kī kyā haqīqat hai.”
Explore Paidāish 37:20
8
Paidāish 37:28
Chunāṅche jab Midiyānī tājir wahāṅ se guzare to bhāiyoṅ ne Yūsuf ko khīṅch kar gaṛhe se nikālā aur chāṅdī ke 20 sikkoṅ ke ewaz bech ḍālā. Ismāīlī use le kar Misr chale gae.
Explore Paidāish 37:28
9
Paidāish 37:19
Unhoṅ ne kahā, “Dekho, ḳhāb deḳhne wālā ā rahā hai.
Explore Paidāish 37:19
10
Paidāish 37:18
Jab Yūsuf abhī dūr se nazar āyā to us ke bhāiyoṅ ne us ke pahuṅchne se pahle use qatl karne kā mansūbā banāyā.
Explore Paidāish 37:18
11
Paidāish 37:22
Us kā ḳhūn na karnā. Beshak use is gaṛhe meṅ phaiṅk deṅ jo registān meṅ hai, lekin use hāth na lagāeṅ.” Us ne yih is lie kahā ki wuh use bachā kar bāp ke pās wāpas pahuṅchānā chāhtā thā.
Explore Paidāish 37:22
Home
Bible
Plans
Videos