1
Paidāish 32:28
Kitab-i Muqaddas
Ādmī ne kahā, “Ab se terā nām Yāqūb nahīṅ balki Isrāīl yānī ‘Wuh Allāh se Laṛtā Hai’ hogā. Kyoṅki tū Allāh aur ādmiyoṅ ke sāth laṛ kar ġhālib āyā hai.”
Compare
Explore Paidāish 32:28
2
Paidāish 32:26
Ādmī ne kahā, “Mujhe jāne de, kyoṅki pau phaṭne wālī hai.” Yāqūb ne kahā, “Pahle mujhe barkat deṅ, phir hī āp ko jāne dūṅgā.”
Explore Paidāish 32:26
3
Paidāish 32:24
Lekin wuh ḳhud akelā hī pīchhe rah gayā. Us waqt ek ādmī āyā aur pau phaṭne tak us se kushtī laṛtā rahā.
Explore Paidāish 32:24
4
Paidāish 32:30
Yāqūb ne kahā, “Maiṅ ne Allāh ko rūbarū dekhā to bhī bach gayā hūṅ.” Is lie us ne us maqām kā nām Faniyel rakhā.
Explore Paidāish 32:30
5
Paidāish 32:25
Jab us ne dekhā ki maiṅ Yāqūb par ġhālib nahīṅ ā rahā to us ne us ke kūlhe ko chhuā, aur us kā joṛ nikal gayā.
Explore Paidāish 32:25
6
Paidāish 32:27
Ādmī ne pūchhā, “Terā kyā nām hai?” Us ne jawāb diyā, “Yāqūb.”
Explore Paidāish 32:27
7
Paidāish 32:29
Yāqūb ne kahā, “Mujhe apnā nām batāeṅ.” Us ne kahā, “Tū kyoṅ merā nām jānanā chāhtā hai?” Phir us ne Yāqūb ko barkat dī.
Explore Paidāish 32:29
8
Paidāish 32:10
Maiṅ us tamām mehrbānī aur wafādārī ke lāyq nahīṅ jo tū ne apne ḳhādim ko dikhāī hai. Jab maiṅ ne Lāban ke pās jāte waqt Dariyā-e-Yardan ko pār kiyā to mere pās sirf yih lāṭhī thī, aur ab mere pās yih do guroh haiṅ.
Explore Paidāish 32:10
9
Paidāish 32:32
Yihī wajah hai ki āj bhī Isrāīl kī aulād kūlhe ke joṛ par kī nas ko nahīṅ khāte, kyoṅki Yāqūb kī isī nas ko chhuā gayā thā.
Explore Paidāish 32:32
10
Paidāish 32:9
phir Yāqūb ne duā kī, “Ai mere dādā Ibrāhīm aur mere bāp Is'hāq ke Ḳhudā, merī duā sun! Ai Rab, tū ne ḳhud mujhe batāyā, ‘Apne mulk aur rishtedāroṅ ke pās wāpas jā, aur maiṅ tujhe kāmyābī dūṅgā.’
Explore Paidāish 32:9
11
Paidāish 32:11
Mujhe apne bhāī Esau se bachā, kyoṅki mujhe ḍar hai ki wuh mujh par hamlā karke bāl-bachchoṅ samet sab kuchh tabāh kar degā.
Explore Paidāish 32:11
Home
Bible
Plans
Videos