1
Romíoṉ 14:17-18
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
kyúṉki Ḳhudá kí bádsháhat kháne píne par nahíṉ, balki rástbází aur mel miláp aur us ḳhushí par mauqúf hai, jo Rúhuʼl Quds kí taraf se hotí hai. Aur jo koí is taur se Masíh kí ḳhidmat kartá hai, wuh Ḳhudá ká pasandída aur ádmíoṉ ká maqbúl hai.
Compare
Explore Romíoṉ 14:17-18
2
Romíoṉ 14:8
Agar ham jíte haiṉ, to Ḳhudáwand ke wáste jíte haiṉ: aur agar marte haiṉ, to Ḳhudáwand ke wáste marte haiṉ. Pas ham jíeṉ, yá mareṉ, Ḳhudáwand hí ke haiṉ.
Explore Romíoṉ 14:8
3
Romíoṉ 14:19
Pas ham un bátoṉ ke tálib raheṉ, jin se mel miláp aur báhamí taraqqí ho.
Explore Romíoṉ 14:19
4
Romíoṉ 14:13
Pas áyanda ko ham ek dúsre par ilzám na lagáeṉ: balki tum yihí ṭhán lo, ki koí apne bháí ke sámne wuh chíz na rakkhe, jo us ke ṭhokar kháne yá girne ká báʻis ho.
Explore Romíoṉ 14:13
5
Romíoṉ 14:11-12
Chunáṉchi yih likhá hai, ki Ḳhudáwand kahtá hai; Apní hayát kí qasam, har ek ghuṭná mere áge ṭikegá, Aur har ek zabán Ḳhudá ká iqrár karegí. Pas har ek ham meṉ se Ḳhudá ko apná apná hisáb degá.
Explore Romíoṉ 14:11-12
6
Romíoṉ 14:1
Kamzor ímánwále ko apne meṉ shámil to kar lo, magar shakk o shubba kí takrároṉ ke liye nahíṉ.
Explore Romíoṉ 14:1
7
Romíoṉ 14:4
Tú kaun hai jo dúsre ke naukar par ilzám lagátá hai? Us ká qáim rahná yá gir paṛná us ke málik hí se mutaʻalliq hai. Balki wuh qáim hí kar diyá jáegá; kyúṉki Ḳhudáwand us ke qáim karne par qádir hai.
Explore Romíoṉ 14:4
Home
Bible
Plans
Videos