1
Matí 12:36-37
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Aur maiṉ tum se kahtá húṉ, ki jo nikammí bát log kaheṉge, ʻadálat ke din us ká hisáb deṉge. Kyúṉkí tú apní bátoṉ ke sabab se rástbáz ṭhahráyá jáegá, aur apní bátoṉ ke sabab se qusúrwár ṭhahráyá jáegá.
Compare
Explore Matí 12:36-37
2
Matí 12:34
Ai sáṉp ke bachcho, tum bure hokar kyúṉkar achchhí báteṉ kah sakte ho? kyúṉki jo dil meṉ bhará hai, wuhí muṉh par átá hai.
Explore Matí 12:34
3
Matí 12:35
Achchhá ádmí achchhe ḳhazáne se achchhí chízeṉ nikáltá hai; aur burá ádmí bure ḳhazáne se burí chízeṉ nikáltá hai.
Explore Matí 12:35
4
Matí 12:31
Is liye maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Ádmíoṉ ká har gunáh aur kufr to muʻáf kiyá jáegá; magar jo kufr Rúh ke haqq meṉ ho, wuh muʻáf na kiyá jáegá.
Explore Matí 12:31
5
Matí 12:33
Yá to daraḳht ko bhí achchhá kaho, aur us ke phal ko bhí achchhá; yá daraḳht ko bhí burá kaho, aur us ke phal ko bhí burá; kyúṉki daraḳht phal hí se pahcháná játá hai.
Explore Matí 12:33
Home
Bible
Plans
Videos