1
Ifisíoṉ 6:12
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
kyúṉki hameṉ ḳhún aur gosht se kushtí nahíṉ karní hai, balki hukúmatwáloṉ aur iḳhtiyárwáloṉ, aur is dunyá kí táríkí ke hákimoṉ aur sharárat kí un rúhání faujoṉ se, jo ásmání maqámoṉ meṉ haiṉ.
Compare
Explore Ifisíoṉ 6:12
2
Ifisíoṉ 6:18
aur har waqt aur har tarah se Rúh meṉ duʻá aur minnat karte raho; aur isí garaz se jágte raho, ki sab muqaddasoṉ ke wáste bilánága duʻá máṉgá karo
Explore Ifisíoṉ 6:18
3
Ifisíoṉ 6:11
Ḳhudá ke sab hathyár báṉdh lo, táki tum Iblís ke mansúboṉ ke muqábale meṉ qáim rah sako
Explore Ifisíoṉ 6:11
4
Ifisíoṉ 6:13
Is wáste tum Ḳhudá ke sáre hathyár báṉdh lo, táki bure din meṉ muqábalá kar sako, aur sab kámoṉ ko anjám dekar qáim rah sako.
Explore Ifisíoṉ 6:13
5
Ifisíoṉ 6:16-17
aur un sab ke sáth ímán kí sipar lagákar, qáim raho, jis se tum us sharír ke sáre jalte húe tíroṉ ko bujhá sako; aur naját ká ḳhod aur Rúh kí talwár, jo Ḳhudá ká kalám hai, le lo
Explore Ifisíoṉ 6:16-17
6
Ifisíoṉ 6:14-15
Pas sachcháí se apní kamar kaskar, aur rástbází ká baktar lagákar, aur páṉwoṉ meṉ sulh kí ḳhushḳhabarí kí taiyárí ke júte pahinkar
Explore Ifisíoṉ 6:14-15
7
Ifisíoṉ 6:10
G̣araz, Ḳhudáwand meṉ aur us kí qudrat ké zor meṉ mazbút bano.
Explore Ifisíoṉ 6:10
8
Ifisíoṉ 6:2-3
Apne báp kí aur máṉ kí ʻizzat kar, (yih pahlá hukm hai, jis ke sáth waʻda bhí hai) táki terá bhalá ho, aur terí ʻumr zamín par daráz ho.
Explore Ifisíoṉ 6:2-3
9
Ifisíoṉ 6:1
Ai farzando, Ḳhudáwand meṉ apne máṉ báp ke farmánbardár raho; kyúṉki yih wájib hai.
Explore Ifisíoṉ 6:1
Home
Bible
Plans
Videos