Aur usí ne baʻz ko rasúl, aur baʻz ko nabí, aur baʻz ko mubashshir, aur baʻz ko charwáhá aur ustád banákar de diyá; táki muqaddas log kámil baneṉ, aur ḳhidmatguzárí ká kám kiyá jáe, aur Masíh ká badan taraqqí páe: jab tak ham sab ke sab Ḳhudá ke Beṭe ke ímán aur us kí pahchán meṉ ek na ho jáeṉ, aur kámil insán na baneṉ, yaʻní Masíh ke púre qadd ke andáze tak na pahuṉch jáeṉ