1
Ifisíoṉ 2:10
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Kyúṉ-ki ham usí kí karígarí haiṉ, aur Masíh Yisúʻ meṉ un nek ʻamál ke wáste maḳhlúq húe, jin ko Ḳhudá ne pahle se hamáre karne ke liye taiyár kiyá thá.
Compare
Explore Ifisíoṉ 2:10
2
Ifisíoṉ 2:8-9
kyúṉki tum ko ímán ke wasíle fazl hí se naját milí hai: aur yih tumhárí taraf se nahíṉ: Ḳhudá ki baḳhshish hai: aur na aʻmál ke sabab se hai, táki koí faḳhr na kare.
Explore Ifisíoṉ 2:8-9
3
Ifisíoṉ 2:4-5
magar Ḳhudá ne apne rahm kí daulat se, us baṛí mahabbat ke sabab, jo us ne ham se kí, jab qusúroṉ ke sabab murda hí the, to ham ko Masíh ke sáth zinda kiyá, (tum ko fazl hí se naját milí hai,)
Explore Ifisíoṉ 2:4-5
4
Ifisíoṉ 2:6
aur Masíh Yisúʻ meṉ shámil karke us ke sáth jiláyá, aur ásmání maqámoṉ par us ke sáth biṭháyá
Explore Ifisíoṉ 2:6
5
Ifisíoṉ 2:19-20
Pas ab tum pardesí aur musáfir nahíṉ rahe, balki muqaddasoṉ ke hamwatan aur Ḳhudá ke gharáne ke ho gaye, aur rasúloṉ aur nabíoṉ kí neo par, jis ke kone ke sire ká patthar ḳhud Masíh Yisúʻ hai, taʻmír kiye gaye ho
Explore Ifisíoṉ 2:19-20
Home
Bible
Plans
Videos