Maiṉ usí ráste jánewálá húṉ jo sáre jahán ká hai: is liye tú mazbút ho, aur mardánagí dikhá; aur jo Músá kí sharí‘at meṉ likhá hai, us ke mutábiq ḲHUDáWAND apne Ḳhudá kí hidáyat ko mánkar us kí ráhoṉ par chal, aur us ke áín par aur us ke farmánoṉ, aur hukmoṉ, aur shahádatoṉ par ‘amal kar, táki jo kuchh tú kare aur jaháṉ kahíṉ tú jáe, sab meṉ tujhe kámyábí ho: aur ḲHUDáWAND apní us bát ko qáim rakkhe jo us ne mere haqq meṉ kahá, ki Agar terí aulád apne taríq kí hifázat karke apne sáre dil aur apní sárí ján se mere huzúr rástí se chale, to Isráíl ke taḳht par tere háṉ ádmí kí kamí na hogí.