1
1 Kurinthíoṉ 15:58
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Pas, ai mere ʻazíz bháiyo, sábitqadam aur qáim raho, aur Ḳhudáwand ke kám meṉ hamesha afzáish karte raho, kyúṉki yih jánte ho, ki tumhárí mihnat Ḳhudáwand meṉ befáida nahíṉ hai.
Compare
Explore 1 Kurinthíoṉ 15:58
2
1 Kurinthíoṉ 15:57
magar Ḳhudá ká shukr hai, jo hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle se ham ko fath baḳhshtá hai.
Explore 1 Kurinthíoṉ 15:57
3
1 Kurinthíoṉ 15:33
Fareb na kháo: burí suhbateṉ achchhí ʻádatoṉ ko bigáṛ detí haiṉ.
Explore 1 Kurinthíoṉ 15:33
4
1 Kurinthíoṉ 15:10
Lekin jo kuchh húṉ, Ḳhudá ke fazl se húṉ: aur us ká fazl jo mujh par húá, wuh befáida nahíṉ húá; balki maiṉ ne un sab se ziyáda mihnat kí: aur yih merí taraf se nahíṉ húí, balki Ḳhudá ke fazl se jo mujh par thá.
Explore 1 Kurinthíoṉ 15:10
5
1 Kurinthíoṉ 15:55-56
Ai maut, terí fath kaháṉ rahí? Ai maut, terá ḍank kaháṉ rahá? Maut ká ḍank gunáh hai; aur gunáh ká zor sharíʻat hai
Explore 1 Kurinthíoṉ 15:55-56
6
1 Kurinthíoṉ 15:51-52
Dekho, maiṉ tum se bhed kí bát kahtá húṉ: ham sab to nahíṉ soeṉge, magar sab badal jáeṉge; aur yih ek dam meṉ, ek pal meṉ, pichhlá narsingá phúṉkte hí, hogá: kyúṉki narsingá phúṉká jáegá, aur murde gairfání hálat meṉ uṭheṉge, aur ham badal jáeṉge.
Explore 1 Kurinthíoṉ 15:51-52
7
1 Kurinthíoṉ 15:21-22
Kyúṉki jab ádmí ke sabab se maut áí, to ádmí hí ke sabab se murdoṉ kí qiyámat bhí áí; aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge.
Explore 1 Kurinthíoṉ 15:21-22
8
1 Kurinthíoṉ 15:53
Kyúṉki zarúr hai ki yih fání jism baqá ká jáma pahine, aur yih marnewálá jism hayát i abadí ká jáma pahine.
Explore 1 Kurinthíoṉ 15:53
9
1 Kurinthíoṉ 15:25-26
Kyúṉki jab tak ki wuh sáre dushmanoṉ ko apne páṉwoṉ tale na le áe, us ko bádshahí karní zarúr hai. Sab se pichhlá dushman jo nest kiyá jáegá, wuh maut hai.
Explore 1 Kurinthíoṉ 15:25-26
Home
Bible
Plans
Videos